![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiMtPzIt4qGlYNqCis2aao2Umg8jBpc8MrW4d1adP7rB4Znw6zCxn3Hd_OCUVu3mCo4Bn82j_I4Yr3eXW60pwJbyMNvDNwZBeQbpRYWsWtOOtW2Fk1pabs1Boh0lqCXfvsNtUaczrfa83AT/s400/65755_160435580646668_160243830665843_369774_5967426_n.jpg)
Allah Tala Farmata hay......!
"or musalmaan aurton say kah dijiyay k apni nigaahain neechi rakhain or apni sharam-gaahon ki hifazat karain or apni zeenat ko zahir na karain. magar jo is main khula rahta hai. or apnay dopattay apnay seeno par dalay raha karain or apni zeenat ko zahir honay na dain. magar apnay shohar par ya apnay baap par ya apnay shohar k baap par ya apnay baiton par ya apnay shohar k baiton par ya apnay bhaiyon par ya apnay bhaiyon kbaiton par ya apnay bhanjon k ya apni aurton par ya apni londion par yain mardon par jo tafeeli hon or inko zara tawajjah na ho ya aisay larkon par jo aurton k pardon ki baaton say abhi wakif nahi huway or apnay paon zor say na rakhain k inka makhfi zaywar maloom ho jai or musalmano! tum sab Allah k samnay toba karo taa k tum falaah pao "
parah no. 18
surah-e-eNoor
verse no. 31
Maf-hoom :
Zeenatsay muraad badan ki ya is k kissi hissay ki paidaaishi khubsurti or naiz jo zaywar-e-libaas waghaira say hasil ho sab dakhil hain. shuru main mard or aurat dono ko apni nazrain neechay rakhnay ki hidayat ki gai or sssf tor par kaha gaya k apnay posheeda ayzaa ko kissi k samnay na kholain is k baad aurat ko mazeed hidayat ki gai K Siwaai chayhra Hath-thaylion or Qadmon k or inkay Singaar k..... aur Badan k kissi hissay ko ya is k singaar ko so in mardon ko jin ko is ayat main tafseelsay ginwaya gaya hai zahir na karain. aurton ka chayra or hath-thayliyaan or qadam or in k zaywaraat bahukm-e-zarurat khulay rakhnay he partain hain mardon ko in say nazar neechi rakhni chahiyay oryay hukam aurton k liyay ghar k andar or bahir halat main hai.
Tafseer:
irshaadhai k apnay seeno ko har waqt orh-niyon or dopatton say chupaai rakhain. is hissy ko chupaai rakhnay ki khaas tor par hidayat hai. is k baad Aam Ayzaa k liyay hidayat hai k inki banawat or singaar kisi par zahir na karain. magar shohar, baap,sussar, baita, sotayla baita, bhai, bhateeja, bhanja mush-tash-naa hain inkay samnay zeenat ka zahir karna paray ya ghair logon say baat cheet karni paray tao is Waqt ilaawa sattar k Hijaab (Parday) ka bhi hukam hai jo surah-e-Ahzaab main bayan kia gaya hay.
No comments:
Post a Comment